Aaj kal har cheez mobile se hoti hai — dosti, shopping, hatta ke breakup bhi
Toh phir bijli ka bill jama karne ke liye kyu line mein khade hona?
Agar aap bhi bill jama karne ke liye dhoop mein khade reh chuke hain, toh ab waqt hai smart banne ka
Is post mein hum aapko batayenge:
Mobile se WAPDA bill kaise check aur pay kiya jata hai – step by step!
Step 1: Apna Bill Ready Rakho
Pehle toh yeh confirm karo ke:
Aapke paas Reference Number hai
Ya to printed bill ho ya purane ka screenshot
Reference number 14 digit ka hota hai — something like: 12345678901234
Agar yeh nahi mila, pehle Post #4 padh lo jismein bill check karna bataya tha
Step 2: App Select kerni ha Karo – Easypaisa karo yaa JazzCash karo Ya account Bank?
Bill pay karne ke liye teen main options hain:
Easypaisa App
JazzCash App
Mobile Banking App (Meezan, HBL, etc.)
Sab apps free hain, aur bill pay karne mein 30 second lagte hain — haan sach mein!
Step 3: Easypaisa Se Bill Pay Karne Ka Tareeqa
Steps:
. Easypaisa app open karo
. “Bill Payment” pe click karo
. Electricity select karo
. Apna DISCO choose karo (LESCO, MEPCO, etc.)
.. Apna Reference Number daalo
. Bill details aayengi → Confirm karo
. Pay button dabao
Bill paid! SMS confirmation bhi aa jaayega.
Tip: Balance app mein pehle se hona chahiye warna... awkward silence
Step 4: JazzCash Ya Bank Se Kaise Pay Karein?
Process almost same hai:
JazzCash app open karo
Pay Bills > Electricity > Disco select karo
Reference number enter karo
Confirm & pay
Same for mobile banking apps:
Go to Bill Payments > Electricity > Enter Ref Number > Pay
Pro Tip: Meezan aur HBL mein saved bill option hota hai – har mahine ref number daalne ki zarurat nahi.
Step 5: Payment Ka Proof Save Karna Mat Bhoolna
Har app payment ke baad:
Ek SMS confirmation bhejti hai
App mein “Transaction History” bhi hoti hai
Galtiyaan Jo Log Karte Hain
❌ Galat reference number — bill kisi aur ka pay ho jaata hai
❌ Balance na hona — payment fail hoti hai
❌ Wrong disco select kar lena — system hi accept nahi karta
Ref number carefully type karo
Disco select sahi karo (area ke hisaab se)
Balance pehle se wallet mein load karo
Conclusion
Mobile se WAPDA bill pay karna 2025 mein itna easy hai ke agar aap line mein khade ho, toh samajh lo “digital Pakistan” aapka wait kar raha hai
Aaj hi try karo — aur share karo yeh guide un doston ke saath jo har mahine “Yaar net slow tha, bill nahi jama hua” waali excuse dete hain.
Aur aise short aur Urdu help blog ke liye yaad rakhna:
BriefBuzz.pro – Jahan guide bhi milti hai, aur thoda muskurana bhi
0 Comments