Aapko pata karna ho ke kisi ke naam par kitni SIM cards registered hain.
Toh ye post aapke liye hai.
Hum aapko asaan aur legal tareeqa batayenge jisse aap apne CNIC se check kar sakte hain ke kitni SIMs registered hain aur kis network par.
Step 1: PTA ki Official Website o visit karo niche link bi diya ha
Step 2: Apna CNIC Number Enter Karein
13-digit CNIC number type karein (dashes ke baghair, jaise: 3510112345671)
Captcha code bhi enter karein, phir “Submit” button dabayein.
Step 3: Result Dekhein
Screen par aapko dikhai dega:
Total SIMs registered aapke CNIC ke naam par
Network wise detail (Jazz, Zong, Telenor, Ufone)
Agar koi SIM aapne kabhi nahi kharidi, toh ho sakta hai kisi ne aapke ID ka misuse kiya ho.
Step 4: Unknown SIM Report Karni Ho Toh
Agar aapko lagay koi SIM bina aapki permission ke registered hai, toh:
Nearest franchise ya service center jaayein
Apni CNIC le jaayein
SIM cancel karwane ke liye request karein
Fingerprint verification ke baad SIM deactivate ho jaayegi
Yeh process free hai.
Important Tips:
CNIC number bina dashes enter karein
Ad blocker ko temporarily disable karein warna form submit nahi hoga
Website kabhi kabhi night mein slow ya down ho sakti hai, subah try karein
Hamesha official PTA website ka hi use karein
Third-party SIM info apps install na karein, ye risk ho sakta hai
0 Comments